IndiBlogger - The Largest Indian Blogger Community

Tuesday, April 16, 2013

saat ashkon ki kahaaani


Saat ashkon ki ek kahaani hai
Aaj wo tumko bhi sunani hai
Pehli mulakat ki raat ko
Tadap kar pehla ashk giraya tha
Tumhe paa na sakenge ye sochkar
Chain apna humne ganwaaya tha
Dusre ashk ki dastak hui
Ikrar-e-mohabbat jab aaya tha
Us haseen lamhe ko humne
Dil ke har kone mein sajaya tha
Teesra ashk yun gumsum sa
Meri ankhon mein aaya tha
Jis din meri nasamjhi se
Tumko rona aaya tha
Fir jab gaye the door nagar tum
Chautha ashk bahaya tha
Us judaai se bachne ko
Main tumse milne aaya tha
Teri soorat dekh kar aakhon mein
Panchwaan ashk yun aaya tha
Ruswa meri mohabbat karke
Mujhe tumne jab ghar bhej diya
Agle ashk ne bahar aakar akhiyon
Ka saath fir chod diya
Teri judai ke gam mein aaj
Rone ka ek bahana hai
Is akhri ashk ko bahakar
Ek prem kahaani banani hai
Jab bhi mere pyaar ki koi
Kahaani kabhi sunaeyga
Mere saat ashkon ki nami se
Daaman tera bheeg jayega