IndiBlogger - The Largest Indian Blogger Community

Friday, December 3, 2010

Mere alfaaz

kuch alfaaz bin kahe asar chod jaate hain
kuch kehkar bhi kuch naa badal paate hai
kahi thi jo baatein wo maine tumse
jaane kuch asar hua tha ke nahi
kabhi lafzon se kabhi ishaaron se kaha
kabhi in nigaahon se samjhaana chaha
kuch tum samjhe kuch ka koi asar na hua
humne socha ki humne tumse kyun hi kaha
kuch baat ab bhi you mere man mein aati hai
bin kahe wo yun hi bas khayalon se guzar jaati hai
ab main keh nahi paata hun kisi se bhi kuch
shayad mere alfaazon ka koi mol nahin.
ek chuppi ke saath thehar gaya hun main
mere saath chalne ko koi humsafar jo nahin.

Thursday, November 18, 2010

bas yun hi..kuch socha tha

do chaar kadam tum chale

do chaar kadam hum chale

na tumko pata chala na humko

ye faasle kab badne lage..

Friday, October 22, 2010

Main Aur Meri tanhaai

Rehti hai wo mere saath mein sada.
jaise maano meri parchaai hai..
zindagi bhar saath ka kiya tha usne waada
ab tak wo wafa karti aayi hai.
is bewafa zamane mein sab apno ne jab chod diya.
mere us dost ne mera saath diya.
koi bewafa nikla kisi ne humko ruswa tha kiya
koi to tha jo mere sang fir bhi chala.
kabhi paas kabhi door rehkar
usne har mod pe mera saath diya
uthi jab nigaah kisi ki chah mein
usi ne muskura kar mujhe thaam liya
kabhi dekha na kabhi suna usko maine
har jagah bas use saath mehsus kiya
is bhare jahaaan mein mera sirf dost hai wo
logon ne jise tanhaai ka hai naam diya

(C) Deepanshu Pahuja

Wednesday, September 29, 2010

Wo mulakat ka zikr

utha jab subah to muskura raha tha
khayal bas mujhe unhi ka aa raha tha
socha aaj unse mulakat ho jayegi
aur kuch nahi to thodi baat ho paayegi
ab us mulakat ka intezaar nahi hota
yun bekaraar na hote agar pyaar na hota
ye dhadkan jo meri ab badne lagi hai
kahin tham na jaaye wo darne lagi hai
bhule hain khudko kya pata kya thikaana
ab kehlo tum aashik ya kehlo deewana
intezaar hai unka bas ke deedar ho jaaye
kuch unki sunein hum kuch apni batayein
kuch hi palon mein ab unse milenge
patjhad mein bhi har su gul wo khilenge
lo ho gayi hai shaam aur wo waqt aa gaya hai
unke suroor ka nasha chaa gaya hai
nikalte hain ab unse na intezaar hoga
dil unka bhi yun hi bekraar hoga
yahi sochkar unse milne nikalte hain
ab waqt hua hai chalo chalte hain..

(C) Deepanshu Pahuja

Friday, July 16, 2010

yaad

aaj mujhe lo fir tumhari yaad aa gayi
beete dino ki wo kahani yaad aa gayi
chod kar jab humein tum chale gaye the
din wo hum yaad kar rahe the.
ek din tera wo yun rooth kar chale jaana
fir tera mud kar wapis na aana
gamgeen teri judai ke wo sab din
hum bhool nahi paaye wo palchin.
xcuse me kehkar vo baatein shuru karna
wo choti si baaton pe mujhse jhagadna
ishaare kar kar ke wo mujhko sataana
jaan meri keh kar mujhko bulana
ladna jhagadna vo ruthna manaana
vo tumhara laton mein yun ungli ghumana
raaton ko tumhari yaadon mein wo shayari likhna
subah tumse milke tumhe wo sunana
naraaz hona wo tera choti choti baaton par
uth kar chale jaana wo mere mazaakon par
main chahkar bhi nahi bhool sakta hun wo sab
teri yaad mein yu main tadpunga kab tak
yaad teri na aaye main dua karta hun
zindagi se main maut ki iltezaa karta hun
puraane wo din yaad aate hai fir bhi
kasak si wo dil mein uthate hain ab bhi
o mere sanam teri yaadon ko arpan
qurbaan karta hun apna saara jeevan

Monday, May 31, 2010

Tum to nahi the


Aaj baitha tha subah
kuch nayi purani yaadein liye
khud se thoda keh liya
baaki sab yunhi guzar gaya

shaam ho chali hai ab
par shayad kuch kehne ko reh gaya.
socha tumse wo keh lun ab
par main kuch bhi keh na saka.

aksar yun hi is zindagi mein
jab bhi kuch kehne ko hua
maine paaya main akela
khud se sab kehta raha

khushiyan bhi thi aur gum bhi the
saath mein tum aur hum bhi the
par wo saath kuch pal ka tha
kab bichde pata na chala

tumne kaha tha mujhse
tum sang chaloge sada
sang tum chale ye jahan chala
par main fir bhi tanha hi tha

socha aisa kyun hua
aisa kyun mehsus kiya
to jaana hai ye maine aaj
ki wahan koi bhi na tha

tumse milta raha fir bhi
tanha sa mehsus kiya

bahut socha to hun samjha
ki aisa kyun laga
wo tumhara aks tha
jo mere saath chala

haan wo tumhara aks hi tha
jo sada mere saath chala.
keh sakta hun main ye ab
Tum to nahi the, kabhi bhi nahi the

(C) Deepanshu Pahuja