IndiBlogger - The Largest Indian Blogger Community

Thursday, December 8, 2011

Ssshhh

मन में  है  वो  हर  इक  बात 
मगर  मेरे  अलफ़ाज़  क्यूँ  चुप  है .
कहना  चाहता  है  हर  कोई  कुछ  तो 
पर  आज  ये  पूरा  संसार  चुप  है 
सितारे  भी  कर  रहे  है  बातें  ढेर  सारी
फिर  भी  देखो  ना   आज  ये  आसमान  चुप  है 
बैठे  है हम  यूँ  नज़रों  से  कहते  सब  कुछ ,
पर  फिर  भी  तो  हम  और  आप  चुप  है 
गरज  रहे  है  बादल  यूँ  जोर  जोर  से 
मगर  रिमझिम  बारिश  की  फुहार  चुप  है 
सुनने  वाले  आके  बुद  बुदाते  है  बातें 
मगर  ना  जाने  क्यूँ  मेरा  फनकार  चुप  है .
वो  आँगन  भी   है , वो  लोरी  भी  है 
पर  ना  जाने  क्यूँ  माँ  का  दुलार  चुप  है .
चह  चाहते  हैं  परिंदे  अगर  तुम  सुनो  तो 
मगर  पत्तियों  की  वो  सरसराहट  चुप  है 
शोर  ही  शोर   है  देखो  हर  तरफ ,
मगर  ना  जाने  क्यूँ  आज  मेरा  संसार  चुप  है 
खो  गया  है  इस  सनाट्टे में  यूँ  सब  कुछ ,
वो  कहते  है  की  आज  तो  तेरा  प्यार  भी  चुप  है . 

(C) Deepanshu Pahuja

Wednesday, October 19, 2011

talaash

kabhi khoya hua ek ruaan dhundta hun
main is bheed mein ek insaan dhundta hun
kyun talaashti rehti hai nazrein har dar-o-diwar ko
shayad main apna khuda dhundta hun
kabhi raat ke ujaale mein suraj ki garmi
to kabhi din mein wo keh-kashaan dhundta hun
bhatak gaya hun shayad apni manzil se
main apne jivan ka mukaam dhundta hun
ruk ruk kar dekhta hun har taraf main kuch to
shayad khoye hue wo nishaan dhundta hun
ret par likhi thi jo us shaam humne
kinare pe ab wo dastaan dhundta hun
mil jaaye agar tumhe kuch mere humdum
to sahej kar rakh lena apne paas use tum
tumse milkar le lunga wo yaadein apni
tab tak main yahan wahan dhundta hun

(C) Deepanshu Pahuja

Thursday, June 9, 2011

Ye faasle

tere sadke mein yun sajda hum karte rahe
teri dikhaayi raahon pe hum chalte rahe
fir bhi na mila humein wo saath tera
jise paane ke liye hum aag mein jalte rahe
kal jab laga us mukaam par aa phunche hum
ki tere dil me wo jagah humne paa li hai
tabhi aaina tootne ki us awaaz ne humein
aati hui us aandhi se rubaru kara diya
jo bana tha wo ret ka mahal ab tak
tez lehron ne usko bhi gira diya
gam nahi is baat ka ki sab barbaad hua
udaasi hai ki humko tumne kehne na diya
iski sun li uski sun li har baat
aur humse bas yun faasla kar liya

Friday, May 6, 2011

kuch haseen pal.

kuch bikhre pal yun aaj yaad aa gaye

sukhe is mausam mein akhiyaan bhigaa gaye

wo masti wo galiyaan wo baatein banana

wo khoyi hui raahein fir se dikhaa gaye

waqt ke sath peeche chod aaye the jo hum

wo manzar yun aaj saamne aa gaye

kaash rok sakta main us waqt ko

to aaj yun wo yaad aaye na hote

tum door na hote ye yaadein na hoti

kal ki tarah hi hum sang sang hote

hum sab ek saath hote the sab to

duniya ko piche hi chod jaate the hum sab

hanste the gaate the, man ki sunaate the

har baat ek dusre ko batate the hum jab

wo mausam tha khoobsurat hansi wo pal the

kabhi hanste aaj the aur kabhi hanste kal the

wo din yaad mujhko aate hai yaad jab bhi

lagta hai yaad tumne mujhko kiya hai

hansta hun us waqt ko yaad karke

ki dosti ko humne kabhi to jiyaa hai

Friday, March 25, 2011

Ye aasmaan kuch kehta hai !!

gum sum sa wo aasman dekha jab
to khamoshi ka pata chala
chand sitaaron ki is duniya mein
mujhe wo ek dum tanha sa laga
aise laga jaise koi uske saath nahi
fir bhi wo sab ke saath dikha
kabhi chaand kabhi taare kabhi baadal
sabko usne ek wajood diya
jeene ka asli matlab usko dekh kar
samajh mein ab humko aata hai
sab tumhaare saamne ho par fir bhi
saath koi na nibhaata hai
sabko aate jaate rehna hai
yaahi jeevan kehlaata hai

Saturday, January 29, 2011

Sach hai na !!!


paani ki dhaara si chalti rehti hai
har pal rang badalti rehti hai
dhyaan se suno to kuch kehti hai
sab kuch bolkar bhi chup rehti hai
har koi thamna chahe ise
par ret si hai jo hamesha fisalti hai
wafa se iska kuch nahi hai naata
isko kabhi koi samajh naa pata
kabhi is karvat kabhi us karvat
waqt ke saath rang badalti hai
Bhagte raho iske peeche sada
shayad isiko Zindagi kehte hai