IndiBlogger - The Largest Indian Blogger Community

Wednesday, February 13, 2013

Mohabbat


Nam hai aaj ye aankhen hamari
shayad bahar baarish aane lagi hai
mausam jaise hi thoda sard hua
tumhaari yaad sataane lagi hai
aa jaao laut kar tum paas hamare
mohabbat ab bhi tumhi se hum karte hai
ek arsa hua hai muskuraye hue
bas chup chaap tanhaa bhatka karte hai
kehne ko bheed hai har taraf hamare
andar ki awaaz koi sun paata nahi
kahi thi tumse jo dil ki baat humne
aur koi samajh wo paata nahi
chod dete hum bhi jeena magar
apni mohabbat nibhaa rahe hain
kisi mod pe tum pukaar lo na humein
bas isi liye hum jiye jaa rahe hain
hamari mohabbat ka tum gam na karna
deewane hai hum deewangi kiye ja rahe hain

(C) Deepanshu Pahuja

Khusbhoo


jab hua foolon ka zikr mujhe teri yaad aane lagi
teri saanson ki khushboo mera din mehkaane lagi
yun to gumsum rehte hain hum aajkal
chehre pe muskurahat fir bhi aane lagi
kisi ne pukaara jab tera naam
khwaab hamara bhi toot gaya
bas fir aankhen yun nam ho gayi hamari
fir se wo tanhayi sataane lagi
uth ke wahan se chale gaye hum fir
aur kabhi bagiya mein na jaane ki kasam khaa li

(C) Deepanshu Pahuja

Chaand aur tum


muskurate beeti kal ki raat meri
jab ye chota saa hadsa hua
andheri raat ki khamoshi mein
jab chand ko dekha maine
socha to tha na kabhi
par tera aks dikhayi diya
choo gayi jab wo sard hawa mujhko
laga yun ki tu mujhe choo ke gaya
mehak to thi wo foolon ki
kehte the sab mujhe deewana tera
kal mujhe bhi yakeen ho gaya
jab palat ke main sone chala
aise laga tumne mujhe pukaar liya

(C) Deepanshu Pahuja

Inaam


main to aaya tha tere dar par
bahar likha mujhe tera naam mila
dhunda tujhe kiya maine yahan wahan
bas tere naa hone ka paigaam mila
ruswa kyun hui jaane meri mohabbat yun
teri bewafaai ka jo mujhe inaam mila
ab tak to tum se keh lete the dil ki baat
ab na jaane kya haal hoga hamara
ishq to kar chuke hai ik baar
shayad ab ye na hoga dobara
ro lenge hum bhi chup kar kahi
tanhaayi mein bas teri yaadon ka sahara hoga

(C) Deepanshu Pahuja