gum sum sa wo aasman dekha jab
to khamoshi ka pata chala
chand sitaaron ki is duniya mein
mujhe wo ek dum tanha sa laga
aise laga jaise koi uske saath nahi
fir bhi wo sab ke saath dikha
kabhi chaand kabhi taare kabhi baadal
sabko usne ek wajood diya
jeene ka asli matlab usko dekh kar
samajh mein ab humko aata hai
sab tumhaare saamne ho par fir bhi
saath koi na nibhaata hai
sabko aate jaate rehna hai
yaahi jeevan kehlaata hai