IndiBlogger - The Largest Indian Blogger Community

Wednesday, October 19, 2011

talaash

kabhi khoya hua ek ruaan dhundta hun
main is bheed mein ek insaan dhundta hun
kyun talaashti rehti hai nazrein har dar-o-diwar ko
shayad main apna khuda dhundta hun
kabhi raat ke ujaale mein suraj ki garmi
to kabhi din mein wo keh-kashaan dhundta hun
bhatak gaya hun shayad apni manzil se
main apne jivan ka mukaam dhundta hun
ruk ruk kar dekhta hun har taraf main kuch to
shayad khoye hue wo nishaan dhundta hun
ret par likhi thi jo us shaam humne
kinare pe ab wo dastaan dhundta hun
mil jaaye agar tumhe kuch mere humdum
to sahej kar rakh lena apne paas use tum
tumse milkar le lunga wo yaadein apni
tab tak main yahan wahan dhundta hun

(C) Deepanshu Pahuja

No comments:

Post a Comment