kuch bikhre pal yun aaj yaad aa gaye
sukhe is mausam mein akhiyaan bhigaa gaye
wo masti wo galiyaan wo baatein banana
wo khoyi hui raahein fir se dikhaa gaye
waqt ke sath peeche chod aaye the jo hum
wo manzar yun aaj saamne aa gaye
kaash rok sakta main us waqt ko
to aaj yun wo yaad aaye na hote
tum door na hote ye yaadein na hoti
kal ki tarah hi hum sang sang hote
hum sab ek saath hote the sab to
duniya ko piche hi chod jaate the hum sab
hanste the gaate the, man ki sunaate the
har baat ek dusre ko batate the hum jab
wo mausam tha khoobsurat hansi wo pal the
kabhi hanste aaj the aur kabhi hanste kal the
wo din yaad mujhko aate hai yaad jab bhi
lagta hai yaad tumne mujhko kiya hai
hansta hun us waqt ko yaad karke
ki dosti ko humne kabhi to jiyaa hai